zamana meri tabahi pe jo udas hua main apne aap se ai dost ru-shanas hua mere khulus ke phulon se jo udi khushbu tumhaare tanz ka mausam bhi bad-hawas hua jamal-e-sehn-e-gulistan hamin se qaem hai hamare khun se har phul khush-libas hua akela ped hi mausam ka war sahta raha shikasta-barg bhi koi na aas-pas hua kabhi jo tuta sitara kisi ko aaya nazar to bazm-e-ghair mein mera hi zikr-e-khas hua safir-e-subh-e-darakhshan chala jo mashriq se dayar-e-shab ka shahanshah bad-hawas hua