gahre samundaron mein bil-akhir utar gae khush-fahmiyon ka zahr piya aur mar gae hum ahd-e-nau ke log bhi allah ki panah kasa uthae hath mein apne hi ghar gae kuchh log ud rahe the hawaon ke dosh par kya jaane kis khayal se hum bhi udhar gae kal raat pi-pila ke badi mastiyan huin aakhir ko thak-thaka ke phir apne hi ghar gae kya kya na ban rahe the miyan hazrat-e-'nadim' suraj ko chhune nikle the sae se dar gae