bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai purani niyam mein yani nai shamshir rakhni hai fasil-e-fikr se girta hua misra uthana hai sirhane ab mujhe har dam kitab-e-'mir' rakhni hai mujhe ta-umr ranj-e-qaid ko mahsus karna hai mujhe ta-umr apne pas ye zanjir rakhni hai sajao khwab koi raat ki be-rang aankhon mein agar baqi dilon mein khwahish-e-tabir rakhni hai khudi se be-khudi ki jang hai goya mujhe is pal muqabil apne hi apni koi taswir rakhni hai hamein apne lahu se dasht ek gulzar karna hai hamein ta-hashr zinda azmat-e-takbir rakhni hai use duniya ke har gham se mukammal pak to kar lo agar is dil mein buniyaad-e-gham-e-shabbir rakhni hai