gai fasl-e-bahaar gulshan se bulbulon ud chalo nasheman se fatiha bhi padha na turbat par ja ke laut aae meri madfan se mujh ko kafi thi qaid-e-halqa-e-zulf bediyan kyun banain aahan se zulf ke pech se na rah ghafil dosti kar dila na dushman se ho gareban ka chaak khak rafu tar hath aae jab na daman se naz-o-ishwa naya nahin sikha shokh tarrar hai ladakpan se chhod kar tum agar gae tanha ji nikal jaega mere tan se hai kai din se muntazir 'rana' jalwa dikhlao aa ke chilman se