kaman na tir na talwar apni hoti hai

kaman na tir na talwar apni hoti hai
magar ye duniya ki har bar apni hoti hai

yahi sikhaya hai hum ko hamare logon ne
jo jang jite wo talwar apni hoti hai

zaban chidiyon ki duniya samajh nahin sakti
qubul-o-rad ki ye takrar apni hoti hai

na hath sukh ke jhadte hain jism se apne
na shakh koi samar-bar apni hoti hai

jo hath aae use raund kar chala jae
guzarte waqt ki raftar apni hoti hai

jagah jagah se niwale uthane padte hain
talash-e-rizq ki begar apni hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close