gai hai sham abhi zakhm zakhm kar ke mujhe ab aur khwab nahin dekhne sahar ke mujhe hun mutmain ki hun aasuda-e-gham-e-jaanan majal kya ki khushi dekhe aankh bhar ke mujhe kahan milegi bhala is sitamgari ki misal taras bhi khata hai mujh par tabah kar ke mujhe main rah na jaun kahin tera aaina ban kar ye dekhna nahin achchha sanwar sanwar ke mujhe in aansuon se bhala mera kya bhala hoga wo mere baad jo roya bhi yaad kar ke mujhe khula bhi ab dar-e-zindan to jaunga main kahan ki raste hi nahin yaad apne ghar ke mujhe hunar-wari faqat ezaz-bakhsh kab hai 'waqar' chukane padte hain kuchh qarz bhi hunar ke mujhe