kabhi siski kabhi aawaza safar jari hai kisi diwane ka diwana safar jari hai thak ke baithen to kahin hath wo chhodwa hi na le bas isi khauf mein hi andha safar jari hai ye jo aage ki taraf panw nahin uthte mere apne andar ki taraf mera safar jari hai kitni hi manzilen pa kar bhi tasalli na hui mere bal-bute pe qismat ka safar jari hai kuchh mahine to hamein jag ke hi chalna pada kuchh mahinon se ye khwabida safar jari hai jis ko bhi chalta hua dekhen so chal padte hain kyun 'waqar' apna ye an-dekha safar jari hai