gai ruton ko bhi yaad rakhna nai ruton ke bhi bab padhna gulab-chehron ne jo likhi hai tamazaton ki kitab padhna tamam rangon ki ek rangat tamam mausam ki ek nighat tamam chehre hasin likhna tamam aankhen sarab padhna har ek aangan khamosh pahre har ek lab par sukut tari hamare ghar ghar jo tutte hain qayamaton ke azab padhna khuli fazaon mein par-kushai mere lahu ka khamir thahri magar mere un kate paron mein udan ke iztirab padhna mere khayalon mein aaj bhi hain wo bankpan ki mahakti raaten kisi ki aankhon se jam pina kisi badan ke gulab padhna bas ek rasta hai guftugu ka bas ek surat hai rabte ki khaton mein un se sawal karna khaton mein un ke jawab padhna 'hasan' hamari udas aankhen kisi ki aankhon se kah rahi hain jo hum ne tum ne kabhi bune the visal-lamhon ke khwab padhna