hawa ke rukh par charagh-e-ulfat ki lau badha kar chala gaya hai wo ek diye se na jaane kitne diye jala kar chala gaya hai hum us ki baaton ki barishon mein har ek mausam mein bhigte the wo apni chahat ke sare manzar hamein dikha kar chala gaya hai usi ke bare mein harf likkhe usi pe hum ne ghazal kahi hai jo kajli aankhon se mere dil mein naqab laga kar chala gaya hai mata-e-jaan bhi usi pe wari usi ke dam se hai sans jari mere badan mein wo khushbuon ki hawa basa kar chala gaya hai ye fasl-e-fikr-o-khayal apni usi ke dam se hari-bhari hai jo kachche kothon ke aanganon se dhuan utha kar chala gaya hai hamari aankhon mein ratjage ki jhadi lagi hai usi ghadi se ki jab se koi ghazal apni jhalak dikha kar chala gaya hai hiran mohabbat ke sabza-zaron mein jaane kab chaukdi bharenge wo jate jate sawal aisa 'hasan' utha kar chala gaya hai