gai yak-ba-yak jo hawa palat nahin dil ko mere qarar hai karun us sitam ko main kya bayan mera gham se sina figar hai ye reaya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke bukhar hai na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yan aman jo khitab tha wo mita diya faqat ab to ujda dayar hai yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai jo bahaar thi so khizan hui jo khizan thi ab wo bahaar hai shab-o-roz phul mein jo tule kaho khar-e-gham ko wo kya sahe mile tauq qaid mein jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai sabhi jada matam-e-sakht hai kaho kaisi gardish-e-bakht hai na wo taj hai na wo takht hai na wo shah hai na dayar hai jo suluk karte the aur se wahi ab hain kitne zalil se wo hain tang charkh ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai na wabaal tan pe hai sar mera nahin jaan jaane ka dar zara kate gham hi, nikle jo dam mera mujhe apni zindagi bar hai kya hai gham 'zafar' tujhe hashr ka jo khuda ne chaha to barmala hamein hai wasila rasul ka wo hamara hami-e-kar hai