bahaar aai gul-afshani ke din hain hamari tang-damani ke din hain anadil ki ghazal-khwani ke din hain gulon ki chaak-damani ke din hain jidhar dekho khile hain lala-o-gul ye khun-e-dil ki arzani ke din hain hua daman-e-gul daman-e-yusuf nazar ki pak-damani ke din hain subuk-rau hai nasim-e-ruh-parwar magar phir bhi giran-jaani ke din hain dil-e-pur-dard umda aa raha hai ye bahr-e-gham mein tughyani ke din hain yahi din ma-hasal hain zindagi ke yahi jo dil ki nadani ke din hain jamal-e-zindagi ki khair yarab kamal-e-aql-e-insani ke din hain ghazal pakiza hai fazli abhi tak ye din har-chand uryani ke din hain