gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen mal-o-zar apna lute to kya karen kis se kahen chhod den duniya nahin aisa koi bandhan magar umr ke is daere ko kya karen kis se kahen yun to hai mauqa naya naghma bane dilkash koi dhun wahi har saz pe ho kya karen kis se kahen dukh kate zahmat kate kat jae bad-hali sabhi waqt kate na kate to kya karen kis se kahen is zamin se aasman tak hai bala ki raushni ban ke aatish dil jale to kya karen kis se kahen hum tabah hain to sarasar ghair pe ilzam hai ghair bhi apna lage to kya karen kis se kahen josh bhi tha walwale bhi kar guzarne ke magar bas na kuchh apna chale to kya karen kis se kahen