kyun shauq badh gaya ramazan mein singar ka roza na tut jae kisi roza-dar ka un ka wo shokhiyon se phadakna palang par wo chhatiyon pe lotna phulon ke haar ka hur aae khuld se to bithaun kahan use aarasta ho ek to kona mazar ka shishon ne tarz udai ruku o qayam ki kya in mein hai lahu kisi parhez-gar ka kyun ghash hue kalim tajalli-e-tur par wo ek charagh tha mere dal ke mazar ka baad-e-fana bhi saf nahin dil raqib se gumbad khada hua hai lahad par ghubar ka kasrat ka rang shahid-e-wahdat ka hai banaw wo ek hi se nam hai hazda hazar ka naqus bin ke puchhne jaun agar mizaj but bhi kahenge shukr hai parwardigar ka dulha ki ye baraat hai rasmen ada karo dar par janaza aaya hai ek jaan-nisar ka kya kya tadap tadap ke sarafil gir pade dam aa gaya jo sur mein mujh be-qarar ka surma ke sath phail ke kya wo bhi mit gaya kyun nam tak nahin teri aankhon mein pyar ka kya raat se kisi ki nazar lag gai ise achchha nahin mizaj dil-e-be-qarar ka aankhen meri faqir huin shauq-e-did mein tasma kamar mein hai nigah-e-intizar ka lutun maze jo bazi-e-shatranj jit lun is khel mein to wada hai bos-e-kanar ka allah mera ghafur mohammad mere shafia 'mail' ko khauf kuchh nahin roz-e-shumar ka