gal ko sharminda kar ai shokh gulistan mein aa lab sin ghunche ka jigar khun karo muskyan mein aa wahi ek jalwa-numa jag mein hai duja koi nahin dekh wajib kun sada majma-e-imkan mein aa zindagi mujh dil-e-murda ki tauhin hai mat ja dil se gar khush nahin ai shokh meri jaan mein aa gul dil-e-ghuncha naman tang ho rang-o-bu sin jab kare yaad tere lab ke tain dhyan mein aa gar tu mushtaq hai dilbar safar-e-dariya ka aa ke kar mauj mere dida-e-giryan mein aa mat mila kar tu raqiban sin sabhi paji hain dekh kar qadr aapas ka ai sanam shan mein aa yun mera dil tere kuche ka bala-gardan hai jyun kabutar ude hai chhatri ke gardan mein aa gar karo qatl mere dil kun taghaful sin jaan phir ke dawa na karun hashr ke maidan mein aa dil-e-'yakru' hai tera pae bandhiya kakul ka yaad rakh us kun sada mat kabhu nisyan mein aa