dam sau rakhte hain lafzon mein sukhnawar mujh se baat kijega zara soch samajh kar mujh se mujhe khalti nahin tanhai safar ki yun bhi guftugu karte hain sab rah ke patthar mujh se wo jo hain lazzat-e-tafhim-e-sukhan se waqif sher sunte hain wahi log mukarrar mujh se mujh ko dar tha ki kahin fasle badh jaen magar wo qarib aa gaya kuchh aur simat kar mujh se wo jo bichhda hai sukhan laut ke kab aaega puchhte rahte hain ye sham ke manzar mujh se