gale lag kar mere wo jaane hansta tha ki rota tha

gale lag kar mere wo jaane hansta tha ki rota tha
na khul kar dhup phaili thi na baadal khul ke barsa tha

kabhi dil bhi nahin ek zakhm aankhon ki jagah aansu
kabhi main bhi na tha bas diary mein sher likkha tha

wo har pal sath hai mere kahan tak us ko main dekhun
gae wo din ki us ke nam par bhi dil dhadakta tha

yahan har kashti-e-jaan par kai manjhi muqarrar the
udhar sazish thi pani ki idhar qaziya hawa ka tha

chhupa kar le gaya apne dukhon ko sari duniya se
laga tha yun to hum tum sa wo jadugar bala ka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close