gale lagaen balaen len tum ko pyar karen jo baat mano to minnat hazar bar karen ye hath kaise hain be-kar kuchh to car karen bahaar aai gareban tar tar karen kahan se laen ab us ko jo ham-kanar karen tasalli kya teri o jaan-e-be-qarar karen wo rabt tum se badhaen wo tum ko yar karen hazar tarah ke jo jabr ikhtiyar karen girae sail-e-anasir ki chaar diwari kharab khana-e-tan chashm-e-ashk-bar karen tumhaare dar se na mayus jaen hajat-mand qubul howe jo tauba gunahgar karen kafan bhi ho gaya maila dhare dhare ai maut tamam umr hui kab tak intizar karen ba-rang-e-ghuncha zaban hai dahan mein zer-e-zaban tumhaare qaul ka kya khak e'tibar karen gada tere dar-e-daulat ke hain ye mustaghni jo saltanat bhi mile to na ikhtiyar karen ghurur-e-husn se hargiz sunega ek na gul chaman mein nale agar bulbulen hazar karen sunae rakhta hun sab ko meri wasiyyat hai ki ta isi pe amal mere gham-gusar karen charagh-e-zist jab us nang-e-dudman ka ho gul aziz shama na raushan sar-e-mazar karen tere siwa hai karim aur rahim kis ki zat najat kis se talab hum gunahgar karen bajae-surma lagaen ghubar-e-kucha-e-yar yahi ilaj tera chashm-e-ashk-bar karen sitam-shiar jafa-pesha be-murawwat hai sarahiye jigar un ke jo tujh ko pyar karen badha ke likkhen na shaer hadis-e-zulf-e-rasa hua hai tul munasib hai ikhtisar karen dar-e-karim se aati hai muttasil ye sada wo kyun na pae jise hum umid-war karen ye but uthaen jo quran bhi kabe mein ai 'rind' khuda se hum to hon munkir jo e'tibar karen