tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera mujhe aziz hai ye kucha-e-malal mera abhi to hona hai ek raqs-e-be-misal mera diye ki lau se abhi dekhna visal mera wo dard hun koi chaara nahin hai jis ka kahin wo zakhm hun ki hai dushwar indimal mera to kya ye waqt yunhi raundta rahega mujhe daraata rahta hai mujh ko yahi sawal mera jawaz rakhta hun main apne zinda hone ka ki ek khwab se hai silsila bahaal mera hawa ki dosti achchhi na dushmani achchhi charagh pahle na tha ab hai ham-khayal mera main aks ban ke isi se ubharna chahta hun so mere aaina-gar aaina ujal mera lahu ki nazr hua ek ek khwab-e-numu hawa ke sath gaya khema-e-khayal mera kabhi main shoala tha ab sirf rakh hun 'aslam' halak kar ke raha mujh ko ishtial mera