gale pe ek khanjar aab-dar kis ka hai ye roz roz meri jaan pe war kis ka hai hai kaun sazish-e-gard-o-ghubar ke pichhe pas-e-sumum-e-junun regzar kis ka hai dhamak-zada hain khalaon mein bastiyan kis ki shikasta sar pe makan intishaar kis ka hai chamakte rang khile naqsh aaina chehre to aaj naqsh-e-nazar par ye bar kis ka hai sarab-o-dasht zaman-o-makan sab yaksan hamein bhi dahr mein ab e'tibar kis ka hai hai kaun dil ki ada-e-talab se na-waqif baghair naghma larazta hai tar kis ka hai koi nahin hai agar daftar-e-takhatub mein to phir ye harf ye qaul-o-qarar kis ka hai palat ke aai hai maqtal mein zindagi 'rahat' faqih-e-shahr ko ab intizar kis ka hai