ya to tarikh ki azmat se lipat kar so ja ya kisi tute hue but se chimat kar so ja nanha bachcha hai to aa man ke ghane aanchal mein raat ki chhalni sadak hi se lipat kar so ja har ghadi shor machati hui makhluq ke beach apne hone ke yaqin se zara hat kar so ja nind udne ka maza tu bhi chakha de un ko chaal makkar sitaron ki ulat kar so ja odh le sare badan par tu hawa ki chadar aur tufan ki banhon mein simat kar so ja ai khalifa ai nae waqt ke haarun-rashid to riwayat-e-shab-e-adl se kat kar so ja