gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai mohabbat mein to zarra bhi sitara hone lagta hai yahan gum-sum se logon par kabhi palken nahin utthin ishaara karne walon ko ishaara hone lagta hai hamari zindagi par hai hamare ishq ka saya ki hum jo kaam karte hain khasara hone lagta hai mohabbat ki adalat bhi bhala kaisi adalat hai ki jab bhi uthne lagte hain pukara hone lagta hai zamin o aasman ke sare sahra raqs karte hain kisi par ishq jab bhi aashkara hone lagta hai 'ata' be-sabr logon ke kabhi bartan nahin bharte guzara karne walon ka guzara hone lagta hai