dil ko ba-nam-e-ishq sajaana pada hamein phir ek fareb dil mein basana pada hamein ye kis ka haal kis ko sunana pada hamein aur dil ka haal dil se chhupana pada hamein jal kar bhi tere nam ki khushbu bikher de phulon mein aisi aag lagana pada hamein daman ye khar se nahin phulon se tar hai jaane ye kaisa qarz chukana pada hamein jab se khushi salib-e-mohabbat pe chadh gai hansna bhi ab udhaar mein lana pada hamein khulte hain roz kya ye mohabbat ke mai-kade ye aazma ke dekhne jaana pada hamein ek aarzu ke waste kya kya nahin kiya 'ahmad' 'nisar' dil ko jalana pada hamein