gali mein dard ke purze talash karti thi

gali mein dard ke purze talash karti thi
mere khutut ke tukde talash karti thi

kahan gai wo kunwari udas bi-apa
jo ganw ganw mein rishte talash karti thi

bhulae kaun aziyyat-pasandiyan us ki
khushi ke dher mein sadme talash karti thi

ajib hijr-parasti thi us ki fitrat mein
shajar ke tutte patte talash karti thi

qayam karti thi wo mujh mein sufiyon ki tarah
udas ruh ke goshe talash karti thi

tamam raat ko parde hata ke chand ke sath
jo kho gae the wo lamhe talash karti thi

kuchh is liye bhi mere ghar se us ko thi wahshat
yahan bhi apne hi pyare talash karti thi

ghuma-phira ke judai ki baat karti thi
hamesha hijr ke harbe talash karti thi

tamam raat wo zakhma ke apne poron ko
mere wajud ke reze talash karti thi

duaen karti thi ujde hue mazaron par
bade ajib sahaare talash karti thi

mujhe to aaj bataya hai baadalon ne 'wasi'
wo laut aane ke raste talash karti thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close