ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua wo mujhe jab bhi mila hai tarjuma karta hua sirf ehsas-e-nadamt ke siwa kuchh bhi nahin aur aisa bhi magar wo bar-ha karta hua jaane kin hairaniyon mein hai ki ek muddat se wo aaina-dar-aina-dar-aina karta hua kya qayamat-khez hai us ka sukut-e-naz bhi ek aalam ko magar wo lab-kusha karta hua aagahi aaseb ki manind raqsan har taraf main ki har dam-e-shunidan ko sada karta hua ek meri jaan ko andeshe sau sau tarah ke ek wo apne liye sab kuchh rawa karta hua haal kya puchho ho 'manzar' ka wo dekho us taraf sari duniya se alag apni sana karta hua