gali mein husn ki jo naqsh-e-pa chamakta hai hamare ishq hi ka martaba chamakta hai isi liye to mujhe nind hi nahin aati tamam raat koi khat khula chamakta hai hazaron shah jo jhukte hain samne us ke kisi faqir ki jholi mein kya chamakta hai kai dinon se ye aalam hai dard ka dil mein kisi mazar pe jaise diya chamakta hai main aankh mund ke hi us ko yaad karta hun mujhe pata hai ki mera khuda chamakta hai kabhi jo khwab mein aati hai us ki parchhai hamari aankh mein ek aaina chamakta hai usi ka qafila pata hai manzilon ka pata ghubar-e-rah mein jo rahnuma chamakta hai tamam sadiyon ne sincha hai apne ashkon se usi ke nur se daman mera chamakta hai kashish ye kaisi hai lafzon mein kis ka jalwa hai 'nadim' aap ki ghazlon mein kya chamakta hai