wo ek shakhs ki jo sath sath phirta tha nazar jo badli to phir wo nazar nahin aaya phira kiye hain chahl sal dasht-e-wahshat mein kisi ko yaad tera rahguzar nahin aaya bahut jataya kisi ne ki sath sath tha wo hamein to yaad koi ham-safar nahin aaya kaha tha sham se pahle hi laut aaega hamein khayal raha raat bhar nahin aaya thake hue the bahut baith jate sae mein hamari rah mein koi shajar nahin aaya ye rah-e-koh-e-nida hai qadam na apne badha wahan se laut ke koi bashar nahin aaya bahut hudud-e-zaman-o-makan se dur gae hamein to ras kabhi bhi safar nahin aaya nahin ki yaad pata us ko mere ghar ka na tha tamam shahr mein ghuma idhar nahin aaya misal-e-saya tha wo phir bhi dur dur raha hazar sal hue laut kar nahin aaya raha raqib se hujjat mein 'qadri' masruf magar wo le ke tumhaari khabar nahin aaya