gali se teri jo ki ai jaan nikla gareban se dast-o-gareban nikla teri aan pe ghash hun har aan zalim to ek aan lekin na yan aan nikla yahi mujh ko rah rah ke aata hai arman ki tujh se na kuchh mera arman nikla meri aah-e-atish-fishan dekhti hai liye ghar se har aan quran nikla meri jaan shart-e-rifaqat nahin ye nikal jaan tu bhi ki paikan nikla kiya main ne mujra to jhunjhla ke bola kahan ka mera jaan pahchan nikla ajab be-baha hai mera ashk yaro ye kam-bakht ladka to tufan nikla mujhe shaikh ulfat se mane hai 'ehsan' wali jis ko samjha tha shaitan nikla