khizan ke jaane se ho ya bahaar aane se chaman mein phul khilenge kisi bahane se wo dekhta rahe mud mud ke su-e-dar kab tak jo karwaten bhi badalta nahin thikane se ugal na sang-e-malamat khuda se dar naseh milega kya tujhe shishon ke tut jaane se zamana aap ka hai aur aap us ke hain ladai mol len hum muft kyun zamane se khuda ka shukr sawere hi aa gaya qasid main bach gaya shab-e-furqat ke naz uthane se main kuchh kahun na kahun kah rahi hai khak-e-jabin ki is jabin ko hai nisbat ek aastane se qayamat aae qayamat se main nahin darta utha to de koi parda kisi bahane se khabar bhi hai tujhe aaina dekhne wale kahan gaya hai dupatta sarak ke shane se ye zindagi bhi koi zindagi hui 'bismil' na ro sake na kabhi hans sake thikane se