galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannata kahta hai is shahr ka har rahne wala kyun dusre shahr mein rahta hai ek khwab-numa bedari mein jate hue us ko dekha tha ehsas ki lahron mein ab tak hairat ka safina bahta hai phir jism ke manzar-name mein soe hue rang na jag utthen is khauf se wo poshak nahin bas khwab badalta rahta hai chhe din to badi sachchai se sanson ne payam-rasani ki aaram ka din hai kis se kahen dil aaj jo sadme sahta hai har ahd ne zinda ghazlon ke kitne hi jahan aabaad kiye par tujh ko dekh ke sochta hun ek sher abhi tak rahta hai