hamare pas na dil hai na dil ki baat koi guzar rahi hai hamare saron se raat koi akele milte hain sahra ho ya ki dariya ho kisi ke sath nahin hum na apne sath koi hamare chehre pe sau rang ki bahaaren hain ki jaise qalb mein zinda hai kaenat koi ab is ke baad hawaen hi is ka muddat hain shajar se tut raha hai khizan mein pat koi tamam fitna-e-dauran mujhi se ubhre hain kahan hai zist mein mujh se alaihida zat koi hazar bar girai hain us ki diwaren ki jaise dil bhi nahin dil hai somnat koi abas main kat raha hun ye zindagi 'mamun' nahin hai jit koi is mein aur na mat koi