galiyon mein bhatakna rah-e-alam mein rahna yan sab ko hai nakaami-e-yak-gam mein rahna pahle to bikhar jaana guzargahon ke hamrah phir hasrat-e-diwar-o-dar-o-baam mein rahna baghat mein phirna khas-o-khashak pahan kar har silsila-e-sabz ke anjam mein rahna har sans mein ghulna teri dahliz ki khushbu har aankh ka duri ke siyah dam mein rahna aawaz na aana kisi aabaad makan se har hath ka yan dastak-e-nakaam mein rahna kuchh der mein khul jaega basti ka nasiba kuchh der hai aur sakhti-ayyam mein rahna 'ejaz' bahut din se hai shohrat ka bulawa tum ho ki wahi qarya-e-gumnam mein rahna