na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai haqiqat mein nahin jite ba-surat zindagani hai nawazish par mizaj aaya jahan din galiyan lakhon karam hai aap ka turfa ajaib mehrbani hai suno tuk gosh-e-dil se qissa-e-jaan soz ko mere ki jag-biti nahin hai aap-biti ye kahani hai abas hai soch tujh ko nama-bar de shauq se mujh ko koi jhidki koi gali agar us ki zabani hai tu apne hath ka chhalla jo har ek se chhupata hai bata 'afsos' kis parda-nashin ki ye nishani hai