gar abr ghira hua khada hai aansu bhi tula hua khada hai hairan hai kis ka jo samundar muddat se ruka hua khada hai hai mausam-e-gul chaman mein har nakhl phulon se lada hua khada hai shamshad barabar us ke qad ke dahshat se bacha hua khada hai hai chaak kisi ka jaib o daman koi khasta luta hua khada hai tu aa ke to dekh dar pe tere kya sang bana hua khada hai khalwat ho kabhu to yun kahe wo koi dar se laga hua khada hai main khair hai gar kahun to bole wo dekh chhupa hua khada hai khunin kafan-e-shahid-e-ulfat dulha sa bana hua khada hai tera hi hai intizar us ko naqa to kasa hua khada hai ai jaan nikal ki 'mushafi' ka asbab lada hua khada hai