wo jo tere faqir hote hain aadmi be-nazir hote hain dekhne wala ek nahin milta aankh wale kasir hote hain jin ko daulat haqir lagti hai uff! wo kitne amir hote hain jin ko qudrat ne husn bakhsha ho qudratan kuchh sharir hote hain zindagi ke hasin tarkash mein kitne be-rahm tir hote hain wo parinde jo aankh rakhte hain sab se pahle asir hote hain phul daman mein chand rakh lije raste mein faqir hote hain hai khushi bhi ajib shai lekin gham bade dil-pazir hote hain ai 'adam' ehtiyat logon se log munkir-nakir hote hain