gar aish se ishrat mein kati raat to phir kya aur gham mein basar ho gai auqat to phir kya jab aai ajal phir koi dhunda bhi na paya qisson mein rahe harf-o-hikayat to phir kya had bos-o-kanar aur jo tha us ke siwa aah gar wo bhi mayassar hua haihat to phir kya do din agar in aankhon ne duniya mein meri jaan ki naz-o-adaon ki ishaaraat to phir kya phir ud gai ek aan mein sab hashmat o sab shan le sharq se ta gharb laga hat to phir kya asp o shutur o fil o khar o naubat o lashkar gar qabr talak apne chala sat to phir kya jab aai ajal phir wahin uth bhage shitabi rindon mein hue ahl-e-kharabaat to phir kya do din ko jo tawiz o fatila o amal se taskhir kiya aalam-e-jinnat to phir kya is umr-e-do-roza mein agar ho ke nujumi sab chhan liye arz o samawat to phir kya ek dam mein hawa ho gae sab amali o nazari the yaad jo asbab o alamat to phir kya us ne koi din baith ke aaram se khaya wo mangta dar dar phira khairaat to phir kya daulat hi ka milna hai badi chiz 'nazir' aah bil-farz hui us se mulaqat to phir kya aakhir ko jo dekha to hue khak ki dheri do din ki hui kashf-o-karamat to phir kya jab aai ajal ek riyazat na gai pesh mar mar ke jo ki koshish o taat to phir kya jab aai ajal aah to ek dam mein gae mar gar ye bhi hui hum mein karamat to phir kya