qissa-e-shauq ke unwan dil-aram kai main ne kis pyar se rakkhe hain tere nam kai tuktuki bandh ke bas dur se takte rahna wasl mein milte hain ab hijr ke aalam kai uqda-e-jaan ko hai ab tak tere nakhun se umid kis ko malum adhure hain mere kaam kai dil-e-zinda se hai ye garmi-e-bazar-e-hayat sar-e-sauda-zada qaem hai to ilzam kai wadi-e-sang se anjaan guzarne wale na-tarashida rahe jate hain asnam kai kuchh na kuchh kahti thi wo aankh dam-e-rukhsat-e-shauq le ke uttha hun kisi bazm se auham kai jaise har ek dariche mein tera chehra ho yun mere haal pe hanste hain dar-o-baam kai 'shaz' ab us ki khamoshi ko dua dena hai jis ne bheje the mujhe nama-o-paigham kai