gar dawa ke liye dhunda hai to bekar kiya chaara-gar hi to hai jis ne hamein bimar kiya hum se karta na talab kam se kam izhaar-e-khushi is tarah aur bhi jina hamein dushwar kiya dar tak khinch ke tum le gae us ko nahaq us ne kab baat na sunne pe tha israr kiya kabhi faulad bhi ban jata tha tum ko yaro bas lachak jaane ki aadat ne tumhein khar kiya kaam shar deta hai jab khair se banti nahin baat mere bad-khwahon ne izhaar kai bar kiya hum use dost jo samjhen bhi to kaise 'azhar' chhup ke pichhe se abhi us ne kahan war kiya