jafa-o-makr-o-dagha ki hikayaten kaisi isi ka nam hai duniya shikayaten kaisi baja hain chhoton se tum ko shikayaten lekin dikhai thin unhen tum ne riwayaten kaisi ye pul-siraat ko pal pal ubur karna hai hain dosti mein bhi yaro nazakaten kaisi yahan zawabit-e-fitrat ki hai amal-dari miyan kahan ke karishme karamaten kaisi muamlat pe un ka asar nahin padta hui hain ruh se aari ibaadaten kaisi bhadak hi jaen agar koi nam bhi le le hain ab to yaron ki hum par inayaten kaisi na dala qaum ko manjdhaar mein to kuchh na kiya bala-e-jaan hain 'azhar' qayaadaten kaisi