gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-dagh-dar dekh ai jaan khana-e-bagh ki aa kar bahaar dekh pachhtaega jo hath se tu khoega hamein hum tujh se saf kahte hain o bad-shiar dekh main kya wahan pe gor tujhe de abhi jawab turbat pe meri aa ke zara tu pukar dekh bahar hon apne jame se gul bulbulen to kya gulshan mein imtihan ko poshak utar dekh ab mujh mein tujh mein ek sar-e-mu nahin hai farq mu-e-miyan mila ke mera jism-e-zar dekh baad-e-fana bhi wa rahin aankhen to aaya tu wada-khilafi apni mera intizar dekh hai nur-e-husn mane-e-didar-e-ru-e-yar aankhen ye kah rahi hain use bar bar dekh tu tegh-e-tez khinche hai main sar jhukae hun apne sitam ko dekh mera inkisar dekh darpai hue hain jaan ke iman to le chuke but karte hain sitam mere parwardigar dekh panjon ke bal zamin pe na chal bankpan ko chhod manind-e-naqsh-e-pa hai ye na-paedar dekh dikhla de minh barasne mein bijli ka kaundna hans hans ke jaanib-e-miza-e-ashk-bar dekh kotah umr ho gai aur ye na kam hui ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizar dekh bad-waza hum ko kah ke bana nek tu che khush atwar apne dekh hamara shiar dekh bijli girai ghair siyah-ru par ai 'qalaq' tasir-e-garm aah-e-dil-e-be-qarar dekh