dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein bana pada hai yar ke pa-e-nigah mein har-dam jo main khatakta hun un ki nigah mein manind-e-khar uthte hain aghyar rah mein ghar us ke dil mein kar ke gai muft apni jaan kashti hamari dub gai aa ke thah mein har-dam wo silk-e-gauhar-e-viran hun ghurta moti piro raha hun main tar-e-nigah mein milta nahin hai manzil-e-maqsad ka rahbar rahzan hi se ho kash mulaqat rah mein aane ka un ke koi muqarrar nahin hai din aa nikle ek bar kahin sal o mah mein chhina gali mein apne hasinon ne naqd-e-dil luta hai rahzanon ne musafir ko rah mein karti hai qatl banki ada us ki khalq ko pattha laga hai tegh ka teri kulah mein ladte hi us se aankh fana the habab-war bahr-e-qaza ka ghat hai tegh-e-nigah mein dil aa gaya zaqan pe teri yak-ba-yak mera girta hai koi dida-o-danista chah mein khush-chashm tu wo hai ki ghazalan-e-hind-o-chi aage tere samate nahin hain nigah mein hai shor aamad-amad qatil jo dair se hangama jaan-nisaron ka hai qatl-gah mein kya tum ko khat-e-zist hai itna to puchhta hoti agar khizr se mulaqat rah mein ai sarw-e-qad gaya hun pai-e-sair-e-bagh jab lipta hun shajar se tere ishtibah mein khurshid-o-mah ki bhi jhapakti hai aksar aankh zarron ki wo chamak hai teri gard-e-rah mein aana hai o shikar-e-fagan gar tujhe to aa ummid-war said hain nakhchir-gah mein sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein ghaflat ye hai kisi ko nahin qabr ka khayal koi hai fikr-e-nan mein koi fikr-e-jah mein kahte hain dekhte hain mubassir agar use ye jins-e-be-baha hai hamare nigah mein kya dun main us ke chehra-e-pur-nur se misal dhabba laga hua hai bada ru-e-mah mein tirchhi nazar se us ne jo dekha yaqin hua bal pad gaya hai yar ki tegh-e-nigah mein aghyar munh chhupaenge hum se kahan talak hogi kabhi to hum se mulaqat rah mein fariyaad ras ke pahunchi na fariyaad kan tak arman rah gaya ye dil-e-dad-khwah mein manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor koi nahin sharik kisi ke gunah mein