gar ho tamancha-band wo rashk-e-firangiyan banke mughal bache na karen khana-jangiyan shokhi-mizaj us ke se ab tak gai nahin waise hi bankpan hain wahi ghola-dangiyan bulbul ke ashk-e-surkh ne ye kya ghazab kiya jo tiliyan qafas ki sabhi khun mein rangiyan gardun agarche din ko ghazal-e-siyah hai par shab ko mere sath kare hai palangiyan dekha na hoga wo kabhi 'bezan' ne chah mein jo din mujhe dikhati hain qismat ki tangiyan aariz pe tere joshash-e-khatt-e-siyah hai ya rome par chadh aai hai ye fauj-e-zangiyan kya jaane kis se bigdi hai dariya mein 'mushafi' lahron ke hathon mein hain jo talwaren nangiyan