ye kaisi sargoshi-e-azal saz-e-dil ke parde hila rahi hai

ye kaisi sargoshi-e-azal saz-e-dil ke parde hila rahi hai
meri samaat khanak rahi hai ki teri aawaz aa rahi hai

hawadis-e-roz-gar meri khushi se kya intiqam lenge
ki zindagi wo hasin zid hai ki be-sabab muskura rahi hai

tera tabassum farogh-e-hasti teri nazar e'tibar-e-masti
bahaar iqrar kar rahi hai sharab iman la rahi hai

fasana-khwan dekhna shab-e-zindagi ka anjam to nahin hai
ki shama ke sath rafta rafta mujhe bhi kuchh nind aa rahi hai

agar koi khas chiz hoti to khair daman bhigo bhi lete
sharab se to bahut purane mazaq ki bas aa rahi hai

khirad ke tute hue sitare 'adam' kahan tak charagh bante
junun ki raushan rawish hai aakhir dilon ko raste dikha rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close