gar khuda kabe mein rahta hai to but-khane mein kaun har hai ganga jal mein to zamzam ke paimane mein kaun qais ko jab le chale basti ki jaanib yun kaha laila aabaadi mein rahti hai to virane mein kaun dar par us ko chadhaya par na ye samjha koi tha anal-haq kah raha mansur diwane mein kaun kis se baaten kar raha hai mujh ko bhi zahid dikha chhup ke baitha hai teri tasbih ke dane mein kaun ho ke tum pir-e-mughan masjid ko 'asghar' chal diye ye to batlao ki ab jaega maikhane mein kaun