har aan yas baDhni har dam umid ghaTni

har aan yas badhni har dam umid ghatni
din hashr ka hai ab to furqat ki raat katni

pau phatna nahin ye mujh sina-chaak ke hai
har subh bar-e-gham se chhati falak ki फटनी

kuche mein us ke baqi mujh khaksar par ab
ya aasman hai girna ya hai zamin phahtni

mizhgan ki barchhiyon ne dil ko to chhan mara
ab botiyan hain baqi un par jigar ki batni

khat ki syahi ne aa gheri sabahat-e-husn
is rome se hai mushkil ye fauj-e-zang hatni

zulf-e-siyah mein ai dil bikhra na maya-jaan
ye jins tira-shab mein mushkil hai phir simatni

khun-e-jigar ka khana dil par nahin gawara
in tursh abaruon ki jab tak na hoe chatni

aaina kah raha hai khubon ke saf munh par
hain ek din ye shaklen sab khak bich atni

rangin hai yun buton ki kaif-e-nigah ki gardish
jun burj ki phire hai holi mein mast jatni

kya past fitraton ko bakhshe hai sar-bulandi
duniya ke shoabde se talim hoe natni

tu ne 'muhib' bithae ye qafiye wagarna
pae qalam ko yaksar hai ye zamin rapatni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close