gar tu mere ru-ba-ru shamil nahin is safar ki mujh mein khu shamil nahin aaj tak mangi nahin aisi dua jis mein teri aarzu shamil nahin aisi duniya ka nahin koi jawaz aisi duniya jis mein tu shamil nahin main karun kya aise dil ka jis mein dost tu ya teri justuju shamil nahin yaad use kar sakta hun main har jagah is ibaadat mein wuzu shamil nahin aisi mahfil mein bhala jaega kaun jis mein teri guftugu shamil nahin kitna be-mani hai mera dikhna gar dekhne walon mein tu shamil nahin hijr hai tapte hue sahra ka nam jis mein koi aab-ju shamil nahin doston ne mukhbiri ki thi meri is kahani mein adu shamil nahin