hai dhakela pahle apne se sitamgar ki taraf la rahe hain ab wo khanjar ko mere sar ki taraf apni marzi se hue the na-muqaddar ki taraf dasht-zad ab daudte hain kyon samundar ki taraf chand lamhe wo zara ghaeb hua manzar se aur aankh utthi hi nahin dobara manzar ki taraf apne andar jhankna aasan ho jata agar aankh jo bahar khuli hai khulti andar ki taraf is guman mein hi bhanwar ki zad se main nikla nahin tu bachane aaega jaise samundar ki taraf us ke dil se main nikal kar aise aaya tujh talak koi be-ghar jaise jata hai kisi ghar ki taraf mubtala hun aaj-kal main aisi tanhai mein dost raat bhar hun dekhta diwar aur dar ki taraf dil se tere jaane ka khatka nahin jata hai aur mera dhyan ab jata rahta hai isi dar ki taraf ye bhi mumkin hai dobara hathon mein na aaun main tum khudara mat uchhaalo mujh ko upar ki taraf hath mein khanjar liye kahte hain shokhi se mujhe apna sar chup-chap le kar aa ja khanjar ki taraf kaenat aisa hai wo aur hun zamin ke jaisa main khinchta hai wo mujhe 'kaunain' mehwar ki taraf