gar us ka silsila bhi umr-e-jawedan se mile kisi ko khak sukun marg-e-na-gahan se mile koi zamin se bhi pahunchae aasman ko payam payam ahl-e-zamin ko to aasman se mile khud apni gum-shudagi se jinhen shikayat hai tu hi bata unhen tera nishan kahan se mile suragh-e-umr-e-guzishta mile kahin se 'hafiz' suragh-e-umr-e-guzishta magar kahan se mile