gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke tohmat-e-ishq lagi hum pe sukhan-war ban ke wo nahin maut sahi maut nahin nind sahi koi aa jae shab-e-gham ka muqaddar ban ke rahbar tum ko banaya hamein malum na tha rah-rau rah bhatak jate hain rahbar ban ke is ziyan-khane mein ek qatre pe kya kya guzri kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke maut ki nind ke maton pe na kyun rashk aae jagna hai unhen hangama-e-mahshar ban ke yaad phir aa gain bhuli hui baaten kya kya phir mulaqat hui aise muqaddar ban ke aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz' bar-ha aankh chhalak jati hai saghar ban ke