garm-e-talash-o-justuju ab hai teri nazar kahan khun hai kuchh jama hua qalb kahan jigar kahan hai ye tariq-e-ashiqi chahiye is mein be-khudi is mein chunan-chunin kahan is mein agar magar kahan zulf thi jo bikhar gai rukh tha ki jo nikhar gaya hae wo sham ab kahan hae wo ab sahar kahan kijiye aaj kis tarah daud ke sajda-e-niyaz ye bhi to hosh ab nahin panw kahan hai sar kahan hae wo din guzar gae joshish-e-iztirab ke nind qafas mein aa gai ab gham-e-baal-o-par kahan hosh o khirad ke phere mein umr-e-aziz sarf ki raat to kat gai yahan dekhiye ho sahar kahan