basti bhi samundar bhi bayaban bhi mera hai aankhen bhi meri khwab-e-pareshan bhi mera hai jo dubti jati hai wo kashti bhi hai meri jo tutta jata hai wo paiman bhi mera hai jo hath uthe the wo sabhi hath the mere jo chaak hua hai wo gireban bhi mera hai jis ki koi aawaz na pahchan na manzil wo qafila-e-be-sar-o-saman bhi mera hai virana-e-maqtal pe hijab aaya to is bar khud chikh pada main ki ye unwan bhi mera hai waraftagi-e-subh-e-bashaarat ko khabar kya andesha-e-sad-sham-e-ghariban bhi mera hai main waris-e-gul hun ki nahin hun magar ai jaan khamyaza-e-tauhin-e-bahaaran bhi mera hai mitti ki gawahi se badi dil ki gawahi yun ho to ye zanjir ye zindan bhi mera hai